Saturday, August 22, 2009

sabse chupa k dard wo Muskura diya

Sabse chupa k dard jo wo muskura diya
uski hansi ne to aaj mujh ko rula diya

Lehje se uth rahe the har ik dard ki daastan
chehra bata raha tha k sab kuch ganwa diya

Aawaz mein thehrao tha Aankhon mein nami the
Aur keh raha tha mene sab kuch bhula diya

Jaane kya us ko logon se theen shikayatein
tanhayon k des mein khud ko basa dia

Khud bhi wo humse bichar k adhora sa hogaya
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya

No comments:

Post a Comment

Your kind remarks are very precious to us, kindly write some words.